Alexa Seleno
@alexaseleno
February 26, 2026

Attitude Shayari

Attitude Shayari, Najar Andaz Mat Kariye

हमें शायर समझ के यूँ नजर अंदाज मत करिये,
नजर हम फेर ले तो हुस्न का बाजार गिर जायेगा।
Humein Shayar Samajh Ke Yoon Najar Andaz Mat Kariye,
Najar Hum Fer Le To Husn Ka Baazar Gir Jayega.

हमारी हैसियत का अंदाज़ा तुम ये जान के लगा लो,
हम कभी उनके नहीं होते जो हर किसी के हो गए।
Humari Haisiyat Ka Andaza Tum Ye Jaan Ke Laga Lo,
Hum Kabhi Unke Nahi Hote Jo Har Kisi Ke Ho Gaye.

[ Read more →]

Dushman Bhi Mere Mureed Hain

मेरे दुश्मन भी मेरे मुरीद हैं शायद,
वक़्त-बेवक्त मेरा नाम लिया करते हैं,
मेरी गली से गुजरते हैं छुपा के खंजर,
रुबरू होने पर सलाम किया करते हैं।
Mere Dushman Bhi Mere Mureed Hain Shayad,
Waqt-BeWaqt Mera Naam Liya Karte Hain,
Meri Gali Se Gujarte Hain Chhupa Ke Khanzar,
Ru-Ba-Ru Hone Par Salaam Kiya Karte Hain.

Shayari Attitude Dushman Mere Mureed

हालात के कदमों पर समंदर नहीं झुकते,
टूटे हुए तारे कभी ज़मीन पर नहीं गिरते,
बड़े शौक से गिरती हैं लहरें समंदर में,
पर समंदर कभी लहरों में नहीं गिरते।
Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi Jhukte,
Toote Huye Taare Kabhi Zamin Par Nahi Girte,
Bade Shauk Se Girti Hai Lahrein Samundar Mein,
Par Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.

Tough Attitude, Usey Mudkar Nahi Dekha

महबूब का घर हो या फरिश्तों की हो ज़मीं,
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा।
Mahboob Ka Ghar Ho Ya Farishton Ki Ho Zamin,
Jo Chhod Diya Fir Usey Mudkar Nahi Dekha.

पत्थर भी तो अब मुझसे किनारा करने लगे,
कि तुम ना सुधरोगे मेरी ठोकरें खा कर।
Patthar Bhi To Ab Mujhse Kinaara Karne Lage,
Ki Tum Na Sudhroge Meri Thokarein Kha Kar.

जुबां पर मोहर लगाना कोई बड़ी बात नहीं,
बदल सको तो बदल दो मेरे खयालों को।
Jubaan Par Mohar Lagana Koi Badi Baat Nahi,
Badal Sako To Badal Do Mere Khayalon Ko.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *